Kuchh Na Kaho (Female) - Love Song

Vocal Lata Mangeshkar, Music: R D Burman, Lyrics: Javed Akhtar, Artist: Anil Kapoor, Manisha Koirala
Kuchh Na Kaho (Female) - 1942 A Love Story 
Lyrics
kuchh na kaho kuchh bhi na kaho
kuchh na kaho kuchh bhi na kaho kya kahna hai kya sunna hai
mujhko pata hai tumko pata hai samay ka ye pal tham sa gaya hai
aur is pal me koi nahi hai bas ek mai hu bas ek tum ho
kuchh na kaho kuchh bhi na kaho

khoye sab pahchane khoye sare apne
samay ki chhalni se gir girke khoye sare sapne

hamne jab dekhe the sundar komal sapne
phul sitare parbat badal sab lagte the apne
hamne jab dekhe the sundar komal sapne
phul sitare parbat badal sab lagte the apne
aur is pal me koi nahi hai bas ek mai hu bas ek tum ho
kuchh na kaho kuchh bhi na kaho kya kahna hai kya sunna hai
mujhko pata hai tumko pata hai samay ka ye pal tham sa gaya hai
aur is pal me koi nahi hai bas ek mai hu bas ek tum ho

Share :

Facebook Twitter
Back To Top

statcounter

Powered by Blogger.