Main hi wafa nibha na saka, Tujhe chaha magar bata na saka

Main hi wafa nibha na saka,
Tujhe chaha magar bata na saka,
Teri judaai mein subh-o-sham roya bahot,
Haan magar tere saamne ansoo Baha na saka,
Tujhe chaha main ne sari duniya se zyada,
Haan magar teri dehleez pe sar jhuka na saka,
Upar wale ne likh di thi Judaai,
Judaai ki lakeer haath se mita na saka,
Tere baad bahot aayi khushiyan,
magar,
Kisi bhi khushi par muskura na saka,
Ek hi baat rulati hai subho sham,
Jis ko chaha us ko paa na saka...

Share :

Facebook Twitter
Back To Top

statcounter

Powered by Blogger.