Mein beti bankar aayi hoon Maa-baap ke jeevan mein

Mein beti bankar aayi hoon Maa-baap ke jeevan mein
Basera hoga kal mera kisi aur ke aangan mein
Kyon yeh reet bhagwan ne banayi hogi
kehte hain aaj nahi toh kal tu parayi hogi
De kar janam paal-poskar jisne hamein bada kiya
aur waqt aaya toh unhi haathon se hamein vida kiya
betiya isse samajhkar paribhasha apne jeevan ki
bana deti hai abhilasha ek atoot bandhan ki
kyon rishta hamara itna ajeeb hota hai
kya bas yahi hum betiyon ka naseeb hota hai

Share :

Facebook Twitter
Back To Top

statcounter

Powered by Blogger.